Greetings to all!

“Asha bhari subah”

Chand-tare chup chuke hain,
Ambar me sooraj jagmagaya hai.
Shital pawan ke jhokon ne,
Punah sfoorti aur josh jagaya hai.
Dur hua hai Ghana andhera,
Nootan savera aya hai.
Jeewan ko sanwarne ka,
Sunhara avsar sath laya hai.

        Udte panchiyon ne milkar,
Madhur sangeet sunaya hai.
Nit nayi oonchai choone ka,
Sandesh ham tak pahunchaya hai.
Gulab ka yah sundar phool,
Kanton ke Madhya bhi muskuraya hai.
Sarita ki bahati dhara ne,
Nirantar aage badhna sikhaya hai.

        Anekon sapne sanjoye hue man me,
Charon taraph halchal, daud-bhag hai.
Kshan bhar me bahoot kuch pane ki as hai,
Man me vishvas aur umang hai.
Phir har-jeet se bhay kaisa,
Yah jeewan to ek jang hai.
Alag-alag anubhooti hai,
Har tarah ke rang hain.

        Bhoolkar ateet ki parajay,
Bharni hai oonchi udan.
Jo beet gayi so baat gayi,
Ati anmol hai vartman.
Tha yadi kal jeevan me patjhad,
Nischay hoga aj basant bahar.
Majboot ichchashakti ke bal par,
 har sapne honge sakar.



-- 
DRDo/CFEES/DELHI

Register at the dedicated AccessIndia list for discussing accessibility of 
mobile phones / Tabs on:
http://mail.accessindia.org.in/mailman/listinfo/mobile.accessindia_accessindia.org.in


Search for old postings at:
http://www.mail-archive.com/accessindia@accessindia.org.in/

To unsubscribe send a message to
accessindia-requ...@accessindia.org.in
with the subject unsubscribe.

To change your subscription to digest mode or make any other changes, please 
visit the list home page at
http://accessindia.org.in/mailman/listinfo/accessindia_accessindia.org.in


Disclaimer:
1. Contents of the mails, factual, or otherwise, reflect the thinking of the 
person sending the mail and AI in no way relates itself to its veracity;

2. AI cannot be held liable for any commission/omission based on the mails sent 
through this mailing list..

Reply via email to