Ishq ka Jahaan benaam hota hai.
  Tadapna iska kaam hota hai.
  Khush naseebon ko kabhi Ishq ho nahi sakta,
  Ye to Badnaseebon ka Jaam hota hai!
   
  Laut jaati hai Duniya Ghum hamara dekhkar,
  Jaise laut jaati hai Lehrein kinara dekhkar,
  Tu kaandha na dena mere janaaze ko,
  Kahin fir zinda na ho jaaun Tera sahara dekhkar!
   
  Naa daal mere mooh per kafan, Mujhe aadat hai muskurane ki,
  Naa dafnaao meri laash ko abhi umeed hai Uske aane ki!
   
   
  Mat karo koi waada jise Tum nibha naa sako,
  Mat chaaho Jise tum Paa naa sako,
  Pyaar kisika kahaan pura hota hai,
  Jab Pyaar ka pehla akshar hee adhoora hota hai....!!
   
   
  Tumhe dil mein basaaye rakhta hoon aur duniya ko bhulaye rakhta hoon,
  Tumhe meri nazar naa lag jaaye apni nazarein Jukhaaye rakhta hoon!!
   
   
  Zindagi mohtaj nahi Manzilon ki,
  Waqt har Manzil dikha deta hain,
  Marta nahi koi kisi se Juda hoke,
  Waqt sabko Jeena sikha deta hain...!!
   
  ~* S a h i l *~ 

 
---------------------------------
Everyone is raving about the all-new Yahoo! Mail beta.

Reply via email to