Assalam O Aliakum Janab Mera Naveed hai chan bataein kerna chahoonga app say meray pakistan ke baray may janab may recently dubai chore ke pakistan aaya hoon halakay wahan jobs ki offers bhi thi lakin apna mulaq apna hota hai chahay jesay bhi hai app nay jo kaam kiya hai is sunday i appreciate you ye buhat hi achi cheez hai humay pata honachahiyai pakistan basicly hai kye magar kuch ap haqaik ki taraf chaltein sahi hai sab acha nahi hai magar acha ho sakta hai is waqat bhi kafi loog sorahein hein in ko jagana hoga jab may ye baat apnay dostoon say boolta hoon to wo loog mera mazak ooratein hein key pakistan ke kuch hosakta bhai koun karab bhi to humnay kiya hai loog maray pakistan chor kay jarahen ye kha kay ab yahaan kuch nahi hai bhagoo yahaan say khudara aasa ke kay is ko budnaam na karoo Pakistan sahi hojae ga magar sahi to karoo hamaray hukamran agar mil ker apna pesa lagadein sab set ho sakta hai jo pesa meray Pakistan ke hai meray Pakistanio ke hai may apni job chor kay sirf Pakistan ke liyein aaya hoon hamari kuch loog baray acha jin ki wajah say Pakistan ki ye halat hai wo ye loog hein jo apni party song per bara acha dance kertein hein ye wo hein jin wajah say kuch nhi ker saktein khair jo bhi hai humhay apna kaam kerna may filhaal to aakela hoon magar InshahAllah hogein sab loog ek hogein app nay kaha tha kuch app loog karo aur humein bulalo tu mujhay app ki zarorat paray gi abhi filhal may app say ek baar milna chata hoon phir app say baat karonga Regards Naveed _________________________________________________________________ Discover the new Windows Vista http://search.msn.com/results.aspx?q=windows+vista&mkt=en-US&form=QBRE --~--~---------~--~----~------------~-------~--~----~ You received this message because you are subscribed to the Google Groups "Loose Ends Pakistan" group. To post to this group, send email to [email protected] To unsubscribe from this group, send email to [EMAIL PROTECTED] For more options, visit this group at http://groups.google.com/group/looseendspakistan?hl=en -~----------~----~----~----~------~----~------~--~---
