Zindagi Ka Safer Taweel Hai
   
  Hazroon Ghum Hain
  Hazaroon Dukh Hain
   
  Kaheen Kahkishaan Si Rah Guzer Hai
   
  Ghum E Hasti
  Ghum E Janaan
  Shikastagi Ka Musalsal Tofaan
   
  Charoon Taraf Jase
  Khara Hai Wahshat Ka Azdaha
   
  Rustoon main Jase Muqadir Hua
  Narasaion Ka Ghunna Jungle
   
  Aur Edher Hai Faqat Ik
  Sehma Hua  Dil
   
  Mager Janaan Mujhe Yaqeen Hai
   
  Main Itni Be Yaqinion K Dermiaan Bhi
  Azaboon K SilSilon K Dermiaan Bhi
   
  Apni Ankhon Main Chamkta Rakhon Ga
   
  Tumhari Muhabat Ka Qeemati Jugnuu
   
  Apny Dil Main Zinda Rakhon Ga
   
  Tumhara Naam



---------------------------------
     

       
---------------------------------
Be a better friend, newshound, and know-it-all with Yahoo! Mobile.  Try it now.

Reply via email to