sar-e-mehfil mey ishaaron ka daur kaafi hua, jaanam
mulaaqaaten ho, to mustaqbil mey raushanaai hai
Maana ke bajatee nahin taalii ek haath se –to bataao
Daahinaa ya baayaa, mere dono haathon mey beqaraari hai
Galat sunkar Mashkooq na samjho mere ishq ko doston
Mainey kahaa nazar phir aayee hai-
kuch pal ka tha fasana mera
yaad karte hai sab afsaana mera
main is zindagi me tumhe kuch na de saka
tum jaate jaate legayi karaar mera
abr-e-karam ne tumhe kahi chupaa rakha hai
wahi pe kahi chupa hai sitaara mera
pehle kabhi khwaabon pe aetbaar nahi tha
ab khwabon me karta hu intezaar tera
2 matches
Mail list logo