*
*
*Phir Zamane ko koi Haider ka saani chaye*
*
*
*Waqt kheta hai Duaoon mey rawani chaye*
*
*
*Aoo Hum sub Roza-e-Abbas per chal kar Kahen*
*
*
*Jal rahi hai sari Duniya Thora Pani Chaye!*


On Tue, May 31, 2011 at 7:11 AM, Miss Kazmi <misskazm...@gmail.com> wrote:

> *
> * **
>
> *Sher-e-Sher-e-Jali*
> *
> *
> *
> *
> This Poetry is based on the verdict between Imam Hussain A.S and Mola Abbas
> A.S. We all know that Mola Abbas was the Flag Bearer "Alamdar" of Imam
> Hussain's A.s army in kerbala and he never received permission from Imam
> Hussain a.s. to fight against yazid's army. The only time he interacted with
> yazid's army was when Imam Hussain sent him to talk to Ibn-e-ziyad after he
> blocked the shores of the river furaat and stopped the water supply for Imam
> Hussain's a.s army and family after 7th muharrum.
>
> Imam Hussain called Mola Abbas and said :
>
> Taaj Daar-e-Wafa Meri Maa Ki Dua
> Esmato'n K Wali Mera Ek Kam Ker
>
> Mere Lashkar k Salaar Nasir Alamdar
> Piyarey Hakee Mera Ek Kam Ker
>
> Murtaza Ki Shabhi Ae Meri Zindagi
> Sher e Sher e Jali Mera Ek Kam Kar
>
> *
> Mey Muhammad Hun Is Waqt Is Doar Ka
> Aaj Mere Ali Mera Ek Kam Kar !!!!
> *
>
> Mera Dil Hai Muareekh Ki Chashm-e-Qalam
> Teri Tad'beer Ko Heelim Ko Dekh Le
>
> Teri Jurrat To Sub Pe Ayaan Hai Magar
> Yeh Zamana Tere Ilm Ko Dekh Le
>
> Ban K Waris Salooni K Mimber Ka Tu
> Kar Zara Guftagu Lashkar e Sham Se
>
> Ye Hain Na Aashna Apne Aaghaz Se
> Bey Khaber Hain Subhi Apne Anjam Se
>
> Ye Samajhtay Hain K Jeet Jainge Yeh
> Ja K Pardah Utha In K Ebhaam Se
>
> Ja Inhain Ja k Samjha k Taqdeer bhi
> Kanmp Jati Hai Shabbir k Naam Se !!!!
>
> Bol Aese K Khaliq Ko Kehna Paray
> Zaat e Haider K Akkas Kia Baat Hai
>
> Aaj Nehj ul Balagha Ka Khaliq Kahay
> Wah Mere Laal Abbas Kia Baat Hai
>
>
> After getting orders from his brother and his commander Imam Hussain, he
> sat on his horse "ashal" with an anger on his face ; exactly like his father
> and went to see ibn-e-ziyad.
>
> Sun K Ibn e Samad Le K
> Daman Mey Ek Beniyazi Chala
>
> Aaj Taigh e Dahan Se Ali Ka Pissar
> Munkiron Ki Ulatne Ko Baazi Chala
>
> Sir Pe Zill e Khuda Thokaro'n Mai Qazza
> Kiss Adda Se Muqadas Namazi Chala
>
> Murtaza Se Muhammad Ko Kehna Para !
> Ya Ali Ap Khud Hain K Ghazi Chala ! :)
>
> Malak Ul Mout Ne Kibriya Se Kaha
> Ban K Tere Qehar Ki Misaal Aagaya !
>
> *
> Qabzehrwa Mere To Bus Mai Nahi
> Gar Ali K Ali Ko Jalal Aagaya......
> *
> Some elders in yazid's army saw Mola Abbas coming towards them, which
> reminded them of Mola-e-kayenat Ali a.s. Indeed Abbas was his son and the
> blood showed the shadow of Ali in Khaiber as Abbas in Kerbala. Some of them
> as a fact were confuse..
>
>
> Buzdilo'n Ab Qazza Ki Tayyari Karo
> Aanay Wala Hussaini Alamdar Hai
>
> Do Jari Khandano'n Ka Sangam Hai Ye
> Is k Chehray Se Jurrat Namudaar Hai
>
> Mout Ko Is k Saaye Se Lagta Hai Darr
> Is Ki Talwaar Ka Waar humwaar Hai
>
> Dabdaba Roob Tamkanad Phr Sakoon !!
> Apni Har Ek Adda Se Ye Qaraar Hai
>
> Then there was a silence!
>
> Sub Saro'n Pe Sehaab e Qazza Chaa Gaya
> Sub Ye Samjhay k Qehar e Jalli Aagaya
>
> *
> Jo Thay Bhooray Jawano Se Kehnay Lagay
> Hum Galat Hain k Such Much Ali Aagaya !!!!
> *
> Mola Abbas's arrival was unexpected and the whole army was intimidated by
> the fact that Hussain has sent THE ABBAS already! Finally the voice of Ali
> was heard once again by some who remembered it from the battle of siffin,
> neherwan and jamal. Hussaini Alamdar said ....
>
> Bad'Chalan Be'adab La'Nasab Shamiyon
> Ye Hujoom e Baghawat Yahan Kiss liye ?
>
> Tum Ho Haiwaan Seerat Geroh Dar Geroh
> Mou Uthaye Chale Ho Wahan Kiss Liye ?
>
> Zull Karam Zee'Sharaf Khandan K Liye
> Hai Ye Zulmat Bhara Karwan Kiss Liye ?
>
> Ku Ye Lashkar Bana? Tum Bhala Ho Bhi Kiya ?
> Jaheelo'n Aagaye Ho Kahan Kiss Liye ???
>
> Sir Kashi Karne Walo'n Suno Ghour Se !
> Ye Walli Apne Allah Ka Bhi Aun Hai !
>
> Jis Ki Chokhat Pe Ghazi Ghulami Karay
> Tum Nahi Jantay Ho k Woh Koun Hai....
>
>
> *and the son of nejul balaghs's creator said :*
>
> Chal Raha Hai ye Sara Nizaam e Daher
> Mere Mola Ki Anghusht K Phair Se
>
> Mai Wazeer e Hussain Or Musheer e Hassan
> Is Haqeqat Ko Samjho Ge Tum Dair Se
>
> Na Gunaho'n Ki Hadd, Na Pa'dar Ki Sanad
> Phir Ulajhtay Ho Tatheer K Shair Se !
>
> Shehr-e-issiyan Ebtar k Makino'n Suno
> Tum Mile Gandagi K kisi Dhehr Se
>
> Mout Khud Mujh se Darti Hai Mai Kia Daro'n
> Kanmpti Hai Qazza Mere Is Hath Se
>
> Ehmaqo'n Qatal Ki Dhamkiyaan Or Mujhe !
> Buzdilli Ki Tawaqou, Wo Bhi Abbas Se ??
>
> Gar mey Chahun Mere Ek Esharay Pe Tum
> Zindagi Ki Haado'n Se Guzar Jao Gey
>
> Mai Charo'n Taraf Phoonk He Maar Dun
> Mout Ka Daayera Hai Jidhaar Jao Gey
>
> Taigh Uthanay Ki Mohlat Mai Dun to Larro
> Taigh He Na Chalay To Kidhar Jao Gey ???
>
> Kiya Zarurat Hai Mujhe Teer O Talwar Ki
> Tum Nihatay Ki Haibat Se Mar Jao Gey
>
> Kia Karun k Karam Meri Ghutti Mai Hai
> Dusra Amr-e-Shabbir Hai Sath Mai
>
> *
> Warna Chahun To ajsaam Thehre Rahen
> Or Aajain Roohain Mere Hath Mai !!!
> *
>
> Written by Shaire Al-e-Imran Janab Shaukat Raza Shaukat..
>
>
>
> --
>
> * فبای الاء ربکما تکذبن.*
>
> *
>
>
> *
>
>  --
> اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ
>
> Bab-ul-Elm, The Community of Lovers & Followers of Masomin a.s
>
> You received this message because you are subscribed to the Google
> Groups "Bab-ul-Elm" group.
> To post to this group, send email to bab-ul-...@googlegroups.com
> For more options, visit this group at
> http://groups.google.com/group/Bab-ul-Elm?hl=en
>



-- 

* فبای الاء ربکما تکذبن.*

*


*

-- 
You received this message because you are subscribed to the Google Groups 
"shiagroup" group.
To post to this group, send email to shiagroup@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to 
shiagroup+unsubscr...@googlegroups.com.
For more options, visit this group at 
http://groups.google.com/group/shiagroup?hl=en.

Reply via email to