28 RAJAB 60AH

The day Karbala began....................
IMAM HUSAIN A.S. LEAVES MADINA





 
















 السلام على الحسين ، وعلى علي بن الحسين وعلى أولاد الحسين وعلى أصحاب الحسين 




28 RAJAB, HUSAYN IBN ‘ALĪ a.s STARTED HIS JOURNEY TO KARBALĀ FROM MEDINA...

All of us pay our condolence to Imam Zaman a.s on this mournful day. The day 
when the voices of Islam around ears were surrounding that I demand for the non 
replicate sacrifice in order to attain the imperishable Life. At that time the 
last indicator of Panjitan Pak a.s i.e. Imam Hussain Ibne Ali a.s arose his 
voice to hoist the flag of Islam around the whole world, For this purpose he 
left this dear Home Land Madinah Munnawwara and Migrate towards the karbala on 
28th Rajab, 60H.

He highlighted his motivation before the departure in his will letter in which 
Imam a.s Give the Stress on the causative of leaving Madinah, Which he 
presented to his Brother Mohammad Ibn-e-Hanifia a.s that: 

“I Neither departed to get the joy nor to get authority but My real purpose is 
to preach the goodness and hinder the people from badness, so I would be able 
to follow my Grand Father Prophet Peace be Upon him and My Father Ali 
Ibne-e-Abe Talib a.s”. 





Mersiya




1)    Ghar Se Jab Bahre Safer Syeda Alam Nikle,Sar Jhukae Huve Badeedae Pur num 
Nikle
Quesho Farzand kamar baand kay baham Nikle, Rokay Farmaya kay is Shaher se ab 
hum Nikle
Raat Se Giryae Zehra ki sada aati hai, Dekhein Qismat Hamein kis dasht main 
lejati hai 

2)    Ruq Kiya Shah ne sue qabre Shahinshae anam, Bahr Tasleem jhuike Muttasile 
babe salam
Izn padkar jo gaye qabr ke nazdik Imam, Arz ki aaya hai aaj aakhri Ruksat kou 
Ghulam
Yea Makaan hum se ab ai shahe zaman choot tha hia, Aaj Hazrat kay Nawase say 
watan choot tha hai  

3)    Chaain Se Sub hai gharon main mujhe milta nahi chain, Saqt aafat main hai 
ab apkaa ye noorul aain 
Tukde dil hota hai jab rokay haram karte hai bain, Nanhay Bachcho kou bhala 
lekay kidhar jayea Hussain  
Shahr mein Chain na Jungle main amaan milti hai, Dekhiyea Qabr musafir kou 
kahan milti hai  

4)    Ab mere sar ke liye teiz hue hain khanjar, Ahle keen Shar pe kamar Bandhe 
Hain ya qaire bashar
Aapne di thi isi roze ki Amma ko Qabar, Waleda roye thee do roz talak peet ke 
sar  
Is Nawase ko magar bhool n jana Hazrat, Zibha ke waqt madad karne ko aana 
Hazrat  

5)    Yea who din hai kay parinde bhi nahien chordte Ghar, Mujh ko dar pesh 
hain in rozon main aafat ka safar
Hai kaheen Qatl ka Samaan kabhi  lut jaane ka dar, Saat hai bachon ka ay 
Badeshahhe Jinoo Bashar 
Tang jeene se hoon paas apnay bulalo Naana, Apani Turbat main Nawase kou 
Chipalo Nana  

6)    Yea Bayan Karkay Jo Taveez Say Liptay Sarwar, Youn Hilli Qabr ke tharrai 
Zaree e anwar
Aayi turbat se ye awaazey habib e dawar, Teri Gurbat kay main Sadqe Meray 
Mazloom pisar 
Koyi samja na meri Gooud kaa Paala tujko, Hai aada nae Madinay say Nikala 
Tujko.  

7)    Aai Mere Gaysuon o wale mere Sabir Shabbir, Mere bekas mere Mazloom 
Musafir Shabbir
Na Raha koye tera yawar o nasir Shabbir, Hai Ai gor e-gareeba kay mujver 
shabbir  
Tu jaahain Jayeaga Pyare wahin chalta Hoon main, Khaak Udataa huva Turbat say 
Nikalta Hoon Main  

8)    Kayee din Say Teri Maadar kou Nahi qabr main Chain, Aaye thi Shab kou 
mera paas yea Karti huvi Bain
Ghar mera Lut taa hai Faryaad Rasool us Saqlain, Subha kou apan watan Chord ke 
Jaata hai Hussain 
Kahne aayi hoon ke muh Qabr se modungi main, Apnay Bache ko akela thou na 
Chodongi main   

9)    Sunkey Yea Shah Nay Kiya aakhri Ruksat ka Salam, Nikle rote huve jab roza 
e Anwar say Imam
Sheh Se usdam Yeh Kiya ro ro ke Zainab nay Kalam, Qabr Par Maa ki Mujay 
Laychalo Ya Shahey anam  
Log Hamrah hai mahmihein kyou kar Roowo, Maa ki turbat say phir ek baat lipat 
kar roowoh.  

10)    Maa ki turbat pe gayea Shah ba chashme qoon baar, Utri Mahmil se basad 
ah o fugahaan Zainabe Zaar
Dourd Kar Qabr Se Lipte Jo Imame Abraar, Haat Zehra ke Lahad Se Nikal aayea Ek 
baar   
Aayi Aawaz Na Ro Dil ko Qalaq Hota hai, Qabr Hilti hai Kaleja mera Shaq Hota 
Hai  

11)    Haan Bulawo Mera Abbas e-Dilawar hai Kidhar, Wo fida Hai mere Bache pe 
main sadqe Uspar
Shikam e-ghair se hai par who wera hai pisar, Yea Sad sun ke biradar ko pukare 
Sarwar  
Abhi Rahwar ko aage na badhao Bhai, Yaad Farmati hai Amma idhar aawo bhai   

12)    Aake Abbas nay Sar Rakhdia Paeene Mazaar, Aayi Zehra Ki Sada Mein Teri 
Gurbat Ke Nisar
Apne Pyaron Ke Barabar Mein Tujhe Karti Hou Pyar, Dhayaan Bhai ki Hifaazat ka 
rahe aai Dildaar   
Kohi Gurbat main Usay Maar na daale Baita, Mera Shabbir Hai ub Teray Hawley 
Baita.  






courtesy: Syed Zuhair Mehdi Rizvi 






 



 
  

 






 
If you forward this email, please delete the forward history, including my 
email address. Remember, erasing the history helps to prevent SPAMMERS from  
mining addresses and viruses from being propagated. Also enter the addresses on 
the "Bcc" line to hide them from others.

 

 


                                    

Sincerely,         
Take Care  &    
Mohamedhusein G. F. Somji
Let us Remember Each-Other in our Duas. 
Let us pray for all our Departed Ones. 




*I am just forwarding an email created by someone else. I do not claim this as 
my property. *
*If it belongs to you - consider it an honor that I thought your email was 
worthy enough to forward on. *
*No copyright infringement intended!  & No vulgarity is intended.*
*Something u don't like use the delete key and move on! *
 

-- 
You received this message because you are subscribed to the Google Groups 
"shiagroup" group.
To post to this group, send email to shiagroup@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to 
shiagroup+unsubscr...@googlegroups.com.
For more options, visit this group at 
http://groups.google.com/group/shiagroup?hl=en.

Reply via email to