*Answer:*
Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki hayat tayyaba mai hi shia mazhab wajood mai
aiya. Hazrat Muhammad (s.a.w.w.) ki waladat se ly kr 23 saal zamana behsat
aur tehreek Islam ki taraqi ky duran aisy waqiyat aur isbab runama howay.
jin ky natejy mai Khud Rasool (s.a.w.w) ky ashab mai 1 aisi jamat ka paida
hona lazmi ho giya tha.

Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky zamany mai sub se phelay jo naam mashoor howa
wo shia tha:
Hazrat Salman Farsi (r.a)
Hazrat Abu zar Ghafazi (r.a)
Hazrat Maqdad (r.a) aur Janab-e-Ammar bin Yasir (r.a)

is naam se mashor howay.

Zahar hai k Mola Ali a.s ne Islam ki khadmat aur taraqi ky lye jo namaiyan
Khidmat anjam diye thay, is k paish nazar aur Muhammad (s.a.w.w) ky behad
Muhabat ny fatri tor par Rasool (s.a.w.w.) ky ashab mai se 1 bari tadad ko
in ki haqiqat aur fazilat ka shafita bana diya tha. Yehi waja thi ke unhon
ne Hazrat Ali a.s ko pasand kiya aur an ky gird jama ho gay aur un ki pairvi
karvi aur ata'at shoro kar di yahan tak ko baaz log is pasandeidgi ki waja
se Ap (Mola Ali a.s) se bughz w hasad karne lagay aur Ap (a.s) ky dhusman ho
gay.

In sub k elawa Shai'an-e-Ali (a.s) aur Shai'an-e-Ahlybait (a.s) ka naam
Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki Ahadiths mai bohat ziyada nazar ata hai. Hazrat
Jabar (r.a) sy marwi hai ko 1 din main Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ky pass
baitha howa tha ko door se Hazrat Ali (a.s) dekhai diye. Hazrat Muhammad
(s.a.w.w) ne farmaya: Qasam is zaat ki jis ke qaba-e-Qudrat mai mari jaan
hai. Yeh shaks (Mola Ali a.s) aur is ke pairo kar awr dost Qayamat ky din
bakhshay jaiyn gay.

Hazrat Ibn Abbas (r.a) kehtay hain ko Jab ye Aya Kareema

*" إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ أُوْلَئِكَ هُمْ خَيْرُ
الْبَرِيَّةِ "
*
(Sura Bayyinah 98, Ayat # 7)

nazal hoi to Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ne Hazrat Ali (a.s) se farmaya: Yeh
Ayat tmhari aur tmharay shiaon ki shan mai nazal hoi hai ke Qayamat ke din
tum Khuda se Razi aur Khush hongay aur Khuda bhi tum se Razi aur Khush ho
ga.
Lahaza Shia Rasool Akram (s.a.w.w) hi ky zamana mai paida howay aur in ki
Rehlat ky baad Hazrat Ali (a.s) ki pairvi aur an ka atebah kartay rahay, isi
waja sy shiaon ko Shain-e-Ali (a.s) kehtay hain.

References:
1) Hazar-ul-aalam-ul-Islami, Vol 1, Page 188
2) Dur-e-Mansoor, Vol 1, Page 973
*


*
-- 


* فبای الاء ربکما تکذبن.*

-- 
You received this message because you are subscribed to the Google Groups 
"shiagroup" group.
To post to this group, send email to shiagroup@googlegroups.com.
To unsubscribe from this group, send email to 
shiagroup+unsubscr...@googlegroups.com.
For more options, visit this group at 
http://groups.google.com/group/shiagroup?hl=en.

Reply via email to